Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis barte par armanon ki basti phailai jati hai

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

kis barte par armanon ki basti phailai jati hai

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar

    kis barte par armānoñ bastī phailā.ī jaatī hai

    phailī huī duniyā kyā jāneñ kis din mañgvā.ī jaatī hai

    jo ḳhūn-e-jigar meñ aatā hai bah jaatā hai vo āñkhoñ se

    ham roz kamā.e jaate haiñ aur roz kamā.ī jaatī hai

    bardāsht had se bāhar hai har-chand musībat ulfat

    ham is ko uThā.e jaate haiñ jab tak ye uThā.ī jaatī hai

    āshiq tabī.at khel nahīñ phaTkār hai kyā ġham-ḳhvāroñ par

    kis ko bahlā.e jaate haiñ ye kyā bahlā.ī jaatī hai

    kyā bād-e-fanā 'ḳhushtar' hai rakhā mātam to jiite thā

    ab ham uThvā.e jaate haiñ ab saf uThvā.ī jaatī hai

    kis barte par armanon ki basti phailai jati hai

    phaili hui duniya kya jaanen kis din mangwai jati hai

    jo KHun-e-jigar mein aata hai bah jata hai wo aankhon se

    hum roz kamae jate hain aur roz kamai jati hai

    bardasht ki had se bahar hai har-chand musibat ulfat ki

    hum is ko uThae jate hain jab tak ye uThai jati hai

    aashiq ki tabiat khel nahin phaTkar hai kya gham-KHwaron par

    kis ko bahlae jate hain ye kya bahlai jati hai

    kya baad-e-fana 'KHushtar' hai rakha matam to jite ji ka tha

    ab hum uThwae jate hain ab saf uThwai jati hai

    Source:

    Afkar-e-Khushtar (Pg. 259)

    • Author: Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
      • Publisher: Maktaba Deen-o-Adab, Lucknow
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now