Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis bewafa se haal kaha iztirab ka

Khwaja Lateef Ahmad Jareeh

kis bewafa se haal kaha iztirab ka

Khwaja Lateef Ahmad Jareeh

MORE BYKhwaja Lateef Ahmad Jareeh

    kis bevafā se haal kahā iztirāb

    ḳhāna-ḳharāb us dil-e-ḳhāna-ḳharāb

    qāsid laash aa.ī hai ḳhat ke javāb meñ

    manshā ye hai javāb na aa.e javāb

    sun loge koī din meñ ki kumhlā gayā ye phuul

    mukhḌā thā chāñd jo urūs-e-shabāb

    qāsid ke dil meñ thā ki zabānī bhī kuchh kahe

    hāzir magar mizāj na paayā janāb

    taqsīr bhī gunāh bhī koī ḳhatā bhī ho

    kahnā nahīñ hai haal tumhāre itaab

    andesha hai na rūh-e-amīñ le uḌeñ 'jarīh'

    huuñ ḳhāk-e-dar janāb-e-risālat-ma.āb

    kis bewafa se haal kaha iztirab ka

    KHana-KHarab us dil-e-KHana-KHarab ka

    qasid ki lash aai hai KHat ke jawab mein

    mansha ye hai jawab na aae jawab ka

    sun loge koi din mein ki kumhla gaya ye phul

    mukhDa tha chand sa jo urus-e-shabab ka

    qasid ke dil mein tha ki zabani bhi kuchh kahe

    hazir magar mizaj na paya janab ka

    taqsir bhi gunah bhi koi KHata bhi ho

    kahna nahin hai haal tumhaare itab ka

    andesha hai na ruh-e-amin le uDen 'jarih'

    hun KHak-e-dar janab-e-risalat-maab ka

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 30)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now