Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ehtiyat se hum raushni mein Dub gae

Shan Bharti

kis ehtiyat se hum raushni mein Dub gae

Shan Bharti

MORE BYShan Bharti

    kis ehtiyāt se ham raushnī meñ Duub ga.e

    khulī jo aañkh to phir tīrgī meñ Duub ga.e

    ajiib taur se raas aaya umr dariyā

    isī se paar lage the usī meñ Duub ga.e

    vo jāhilāna takallum pe sarfarāz huā

    ham apne lahje shā.istagī meñ Duub ga.e

    badalnā hogā ab andāz apne rone

    tamām bachche achānak hañsī meñ Duub ga.e

    ajiib chiiz thī rangīnī-e-fareb-e-bahār

    jidhar nigāh uThī sādgī meñ Duub ga.e

    samajh meñ aaya na un ko shanāvarī mizāj

    samundaroñ se nikal kar nadī meñ Duub ga.e

    vo jin ke dam se ujāloñ thā bharam ai 'shān'

    ġhazab huā ki vahī tīrgī meñ Duub ga.e

    kis ehtiyat se hum raushni mein Dub gae

    khuli jo aankh to phir tirgi mein Dub gae

    ajib taur se ras aaya umr ka dariya

    isi se par lage the usi mein Dub gae

    wo jahilana takallum pe sarfaraaz hua

    hum apne lahje ki shaistagi mein Dub gae

    badalna hoga ab andaz apne rone ka

    tamam bachche achanak hansi mein Dub gae

    ajib chiz thi rangini-e-fareb-e-bahaar

    jidhar nigah uThi sadgi mein Dub gae

    samajh mein aaya na un ko shanawari ka mizaj

    samundaron se nikal kar nadi mein Dub gae

    wo jin ke dam se ujalon ka tha bharam ai 'shan'

    ghazab hua ki wahi tirgi mein Dub gae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now