Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis hatheli pe pa-posh sinche gae kis kahani ko be-nam rakha gaya

Aamir Suhail

kis hatheli pe pa-posh sinche gae kis kahani ko be-nam rakha gaya

Aamir Suhail

MORE BYAamir Suhail

    kis hathelī pe pā-posh sīñche ga.e kis kahānī ko be-nām rakhā gayā

    zānū-e-dil pe kal shab baḌī bhiiḌ thī jis ke barte pe anjām rakhā gayā

    ham shurūa mohabbat se nādār the apnī āñkhoñ se hoñToñ se bezār the

    ham se kyā pūchhte ho lahū khanak jis ke reshoñ meñ ib.hām rakhā gayā

    intihāoñ meñ tujh se alag ho ga.e ibtidāoñ se sahl-andāz the

    'umr ke reg-zāroñ se guzre nahīñ aur shānoñ pe ilzām rakhā gayā

    raunaqoñ meñ tamāshā bane raat din ḳhalvatī the sadā ḳhalvatī rahe

    mushk naañd kūlhe pe dekhī ga.ī aur pahlū meñ ilhām rakhā gayā

    aisī be-vuq.atī se tarāshā gayā apne hone pe nādim rahe 'umr bhar

    ḳhushk miTTī ke Dheloñ ko yakjā kiyā āñdhiyoñ ke tale naam rakhā gayā

    ras-bharī kuhniyoñ ko nichoḌā gayā shahr ke chauk meñ ke chhoḌā gayā

    jism ke Dhīle tāroñ ko kaste rahe aur bhītar meñ kohrām rakhā gayā

    goliyoñ se udhaḌte rahe naam bhī bām-o-dar hikāyat adhūrī rahī

    bām-o-dar hikāyat ki jis ke evaz baḳht meñ dāna-o-dām rakhā gayā

    jaam meñ tund paanī bharā dekhiye ab charāġhoñ lau ko mirā dekhiye

    surḳh qālīn aur is pe bichhtī ġhazal jis ke zaanū pe ehrām rakhā gayā

    kis hatheli pe pa-posh sinche gae kis kahani ko be-nam rakha gaya

    zanu-e-dil pe kal shab baDi bhiD thi jis ke barte pe anjam rakha gaya

    hum shurua mohabbat se nadar the apni aankhon se honTon se bezar the

    hum se kya puchhte ho lahu ki khanak jis ke reshon mein ibham rakha gaya

    intihaon mein tujh se alag ho gae ibtidaon se hi sahl-andaz the

    'umr ke reg-zaron se guzre nahin aur shanon pe ilzam rakha gaya

    raunaqon mein tamasha bane raat din KHalwati the sada KHalwati hi rahe

    mushk ki nand kulhe pe dekhi gai aur pahlu mein ilham rakha gaya

    aisi be-wuqati se tarasha gaya apne hone pe nadim rahe 'umr bhar

    KHushk miTTi ke Dhelon ko yakja kiya aandhiyon ke tale nam rakha gaya

    ras-bhari kuhniyon ko nichoDa gaya shahr ke chauk mein la ke chhoDa gaya

    jism ke Dhile taron ko kaste rahe aur bhitar mein kohram rakha gaya

    goliyon se udhaDte rahe nam bhi baam-o-dar ki hikayat adhuri rahi

    baam-o-dar ki hikayat ki jis ke ewaz baKHt mein dana-o-dam rakha gaya

    jam mein tund pani bhara dekhiye ab charaghon ki lau ko mera dekhiye

    surKH qalin aur is pe bichhti ghazal jis ke zanu pe ehram rakha gaya

    Source:

    Mashhad-e-Ishq (Pg. 54)

    • Author: Aamir Suhail
      • Publisher: Sanjh Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now