Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis jagah jata hai aur kaun se dar jata hai

Mohammad Faizaan Qadir

kis jagah jata hai aur kaun se dar jata hai

Mohammad Faizaan Qadir

MORE BYMohammad Faizaan Qadir

    kis jagah jaatā hai aur kaun se dar jaatā hai

    tere dar se jo palaT aa.e kidhar jaatā hai

    manzar-e-ām pe aatā hai to Dar jaatā hai

    ashk merā mire andar bikhar jaatā hai

    kyā huā chhoḌ ki har baar agar jaatā hai

    do ghaḌī mujh se magar baat to kar jaatā hai

    aaj vo zaḳhm tāsīr se tar jaatā hai

    vo jo kahtā thā miyāñ zaḳhm hai bhar jaatā hai

    kis yādoñ ke diye zaḳhm mujhe chubhte haiñ

    kaun hai jo mirī āñkhoñ meñ Thahar jaatā hai

    aadmī dil meñ utar jaa.e to zinda hai magar

    aadmī dil se utar jaa.e to mar jaatā hai

    kis ḳhuuñ hai ki ye miTTī bhī taḌapne lagī hai

    nok-e-neza pe ye kis mard sar jaatā hai

    kis jagah jata hai aur kaun se dar jata hai

    tere dar se jo palaT aae kidhar jata hai

    manzar-e-am pe aata hai to Dar jata hai

    ashk mera mere andar hi bikhar jata hai

    kya hua chhoD ki har bar agar jata hai

    do ghaDi mujh se magar baat to kar jata hai

    aaj wo zaKHm ki tasir se tar jata hai

    wo jo kahta tha miyan zaKHm hai bhar jata hai

    kis ki yaadon ke diye zaKHm mujhe chubhte hain

    kaun hai jo meri aankhon mein Thahar jata hai

    aadmi dil mein utar jae to zinda hai magar

    aadmi dil se utar jae to mar jata hai

    kis ka KHun hai ki ye miTTi bhi taDapne lagi hai

    nok-e-neza pe ye kis mard ka sar jata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now