Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ka hai jurm kis ki KHata sochna paDa

Abrar Azmi

kis ka hai jurm kis ki KHata sochna paDa

Abrar Azmi

MORE BYAbrar Azmi

    kis hai jurm kis ḳhatā sochnā paḌā

    rahte haiñ kyuuñ vo ham se ḳhafā sochnā paḌā

    gul hañsī meñ raqs-e-nujūm-o-qamar meñ bhī

    shāmil hai kitnī terī adā sochnā paḌā

    jab bhī mirī vafāoñ baat aa ga.ī kahīñ

    un ko phir ek uzr-e-jafā sochnā paḌā

    ġhunche udaas gul haiñ fasurda chaman chaman

    kis karam hai bād-e-sabā sochnā paḌā

    shāyad tumhārī yaad mire paas aa ga.ī

    hai mire dil sadā sochnā paḌā

    jab bhī koī bhaTak ke sar-e-rāh aa gayā

    kitnī kaThin hai rāh-e-vafā sochnā paḌā

    zindāñ baat daar ke charche rasan zikr

    kitnī ajab hai tab-e-rasā sochnā paḌā

    kis ka hai jurm kis ki KHata sochna paDa

    rahte hain kyun wo hum se KHafa sochna paDa

    gul ki hansi mein raqs-e-nujum-o-qamar mein bhi

    shamil hai kitni teri ada sochna paDa

    jab bhi meri wafaon ki baat aa gai kahin

    un ko phir ek uzr-e-jafa sochna paDa

    ghunche udas gul hain fasurda chaman chaman

    kis ka karam hai baad-e-saba sochna paDa

    shayad tumhaari yaad mere pas aa gai

    ya hai mere hi dil ki sada sochna paDa

    jab bhi koi bhaTak ke sar-e-rah aa gaya

    kitni kaThin hai rah-e-wafa sochna paDa

    zindan ki baat dar ke charche rasan ka zikr

    kitni ajab hai tab-e-rasa sochna paDa

    Source:

    shab-khoon(web site) (Pg. 67)

      • Edition: 07
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now