Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ki aamad se bahaaran hua maskan maskan

Reshma Naheed Resham

kis ki aamad se bahaaran hua maskan maskan

Reshma Naheed Resham

MORE BYReshma Naheed Resham

    kis aamad se bahārāñ huā maskan maskan

    aaj gul khilte rahe chaar gulshan gulshan

    vo jo uThī thī mirī samt uchaTtī nigāh

    kar ga.ī raakh sakūñ mire ḳhirman ḳhirman

    saañs hiddat se kiye rakhtī hai mujh ko sarshār

    kaun paikar meñ mire bas gayā dhaḌkan dhaḌkan

    dekhiye us but-e-kāfir ke satāne adā

    ḳhvāb meñ dikhtā hai to bhī pas-e-chilman-chilman

    luuT kar le gayā mujh se vo mirā apnā vajūd

    ab to apnā lage raah rahzan rahzan

    vaqt ruḳhsat bhī nahīñ aane āñkhoñ meñ namī

    sub.h-dam tar thā magar phūloñ dāman dāman

    kaise kah duuñ maiñ nahīñ muntazir us 'resham'

    tan dīvār meñ do āñkheñ haiñ rauzan rauzan

    kis ki aamad se bahaaran hua maskan maskan

    aaj gul khilte rahe chaar su gulshan gulshan

    wo jo uThi thi meri samt uchaTti si nigah

    kar gai rakh sakun ka mere KHirman KHirman

    sans hiddat se kiye rakhti hai mujh ko sarshaar

    kaun paikar mein mere bas gaya dhaDkan dhaDkan

    dekhiye us but-e-kafir ke satane ki ada

    KHwab mein dikhta hai to bhi pas-e-chilman-chilman

    luT kar le gaya mujh se wo mera apna wajud

    ab to apna sa lage rah ka rahzan rahzan

    waqt ruKHsat bhi nahin aane di aankhon mein nami

    subh-dam tar tha magar phulon ka daman daman

    kaise kah dun main nahin muntazir us ki 'resham'

    tan ki diwar mein do aankhen hain rauzan rauzan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now