Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ki aankhon ne kiye ashk rawan mere baad

Jarrar Chhaulisi

kis ki aankhon ne kiye ashk rawan mere baad

Jarrar Chhaulisi

MORE BYJarrar Chhaulisi

    kis āñkhoñ ne kiye ashk ravāñ mere ba.ad

    ho gayā raaz mohabbat bayāñ mere ba.ad

    mere baa.is huā duniyā meñ ta.āruf terā

    phir tire husn ke charche ye kahāñ mere ba.ad

    jin nazroñ meñ khaTaktā thā maiñ kāñTe tarah

    un nazroñ meñ hai tārīk jahāñ mere ba.ad

    phir kisī ne na sunā tazkira-e-qatl-o-jafā

    kaT ga.ī ḳhanjar-e-qātil zabāñ mere ba.ad

    mujh ko 'jarrār' fanā ishq-e-sitamgar ne kiyā

    ab kahāñ jā.egā ye dushman-e-jāñ mere ba.ad

    kis ki aankhon ne kiye ashk rawan mere baad

    ho gaya raaz mohabbat ka bayan mere baad

    mere bais hua duniya mein taaruf tera

    phir tere husn ke charche ye kahan mere baad

    jin ki nazron mein khaTakta tha main kanTe ki tarah

    un ki nazron mein hai tarik jahan mere baad

    phir kisi ne na suna tazkira-e-qatl-o-jafa

    kaT gai KHanjar-e-qatil ki zaban mere baad

    mujh ko 'jarrar' fana ishq-e-sitamgar ne kiya

    ab kahan jaega ye dushman-e-jaan mere baad

    Source:

    Aks-e-Hayat (Pg. 75)

    • Author: Jarrar Chhaulisi
      • Publisher: Zer-e-Nigrani Nayyar
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now