Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ki mehnat ke ye shahkar nazar aate hain

Jan Kashmiri

kis ki mehnat ke ye shahkar nazar aate hain

Jan Kashmiri

MORE BYJan Kashmiri

    kis mehnat ke ye shahkār nazar aate haiñ

    peḌ jo rah meñ samar-dār nazar aate haiñ

    aur dastār taz.hīk bhalā kyā hogī

    sar kaTe sāhab-e-dastār nazar aate haiñ

    kyā huā habs-zada hai jo makīnoñ mizāj

    ghar ke kamre to havā-dār nazar aate haiñ

    bhuuk fāqoñ se baġhal-gīr huī hai aise

    shahr meñ qaht ke āsār nazar aate haiñ

    un ke andar to insān hai reza-reza

    log qāmat meñ jo kohsār nazar aate haiñ

    apnī har baat pe aḌ jaate haiñ bachchoñ tarah

    sar-phire sāhab-e-kirdār nazar aate haiñ

    har jabīñ par hai sajī jhuuT surḳhī ai 'jān'

    ab to insān bhī aḳhbār nazar aate haiñ

    kis ki mehnat ke ye shahkar nazar aate hain

    peD jo rah mein samar-dar nazar aate hain

    aur dastar ki tazhik bhala kya hogi

    sar kaTe sahab-e-dastar nazar aate hain

    kya hua habs-zada hai jo makinon ka mizaj

    ghar ke kamre to hawa-dar nazar aate hain

    bhuk faqon se baghal-gir hui hai aise

    shahr mein qaht ke aasar nazar aate hain

    un ke andar ka to insan hai reza-reza

    log qamat mein jo kohsar nazar aate hain

    apni har baat pe aD jate hain bachchon ki tarah

    sar-phire sahab-e-kirdar nazar aate hain

    har jabin par hai saji jhuT ki surKHi ai 'jaan'

    ab to insan bhi aKHbar nazar aate hain

    Source:

    Airaf (Pg. 97)

    • Author: Jan Kashmiri
      • Publisher: Maktaba-e-Qirtas, Pakistan
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now