Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ki taswir se aaina Daraata hai mujhe

Pritpal Singh Betab

kis ki taswir se aaina Daraata hai mujhe

Pritpal Singh Betab

MORE BYPritpal Singh Betab

    kis tasvīr se ā.īna Darātā hai mujhe

    kaun ye mujh hai āñkheñ jo dikhātā hai mujhe

    nit-na.e sāhil-o-amvāj dikhātā hai mujhe

    ik samundar hai ki har-lahza bulātā hai mujhe

    hai nihāñ-ḳhāna-e-ġham us hañsī ke pīchhe

    hañstā rahtā hai vo ḳhud aur rulātā hai mujhe

    rāt-bhar koh-e-nidā se mujhe detā hai sadā

    sub.h hote bulandī se girātā hai mujhe

    ashk ye aur kisī hai sar-e-shām-e-umīd

    merī āñkhoñ meñ utar kar jo rulātā hai mujhe

    kise achchhā kahūñ ab kis ko burā ai 'betāb'

    har koī apne jaisā nazar aatā hai mujhe

    kis ki taswir se aaina Daraata hai mujhe

    kaun ye mujh sa hai aankhen jo dikhata hai mujhe

    nit-nae sahil-o-amwaj dikhata hai mujhe

    ek samundar hai ki har-lahza bulata hai mujhe

    hai nihan-KHana-e-gham us ki hansi ke pichhe

    hansta rahta hai wo KHud aur rulata hai mujhe

    raat-bhar koh-e-nida se mujhe deta hai sada

    subh hote hi bulandi se giraata hai mujhe

    ashk ye aur kisi ka hai sar-e-sham-e-umid

    meri aankhon mein utar kar jo rulata hai mujhe

    kise achchha kahun ab kis ko bura ai 'betab'

    har koi apne hi jaisa nazar aata hai mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now