Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ko bahlate ho shishe ka gulu TuT gaya

Mirza Ali Lutf

kis ko bahlate ho shishe ka gulu TuT gaya

Mirza Ali Lutf

MORE BYMirza Ali Lutf

    kis ko bahlāte ho shīshe gulū TuuT gayā

    ḳhum mire muñh se lagā de jo subū TuuT gayā

    kiijo us zulf ko mashshāt samajh kar shāna

    laakh dil TuuTe agar ek vo TuuT gayā

    kuchh ḳhabar hai tujhe kahte haiñ tire zaḳhmī

    aaj phir chaak siine ke rafū TuuT gayā

    falak us dil-shikanī to mazā dekhegā

    koī dil gar kabhī ai arbada-jū TuuT gayā

    thī murīdoñ ke liye qalb ke sadme dalīl

    shaiḳh raqs meñ sam par jo vuzū TuuT gayā

    dhyān us shīshe rakhnā ki na hogā paivand

    dil mirī jaan agar yak sar-e-mū TuuT gayā

    us ḳhud-ārā ke rahā haath meñ nit ā.īna

    ġham se ā.īna-e-dil haa.e na TuuT gayā

    mohtasib ne to ḳharābāt meñ ḳhūñ-rezī

    par sar-e-riñd pe shab mai kadū TuuT gayā

    dekhnā tār-e-mohabbat ki hai mushkil phir sāñTh

    rishta-e-dostī ai 'lutf' kabhū TuuT gayā

    kis ko bahlate ho shishe ka gulu TuT gaya

    KHum mere munh se laga de jo subu TuT gaya

    kijo us zulf ko mashshat samajh kar shana

    lakh dil TuTe agar ek wo mu TuT gaya

    kuchh KHabar hai tujhe kahte hain tere zaKHmi ka

    aaj phir chaak ka sine ke rafu TuT gaya

    falak us dil-shikani ka to maza dekhega

    koi dil gar kabhi ai arbada-ju TuT gaya

    thi muridon ke liye qalb ke sadme ki dalil

    shaiKH ka raqs mein sam par jo wuzu TuT gaya

    dhyan us shishe ka rakhna ki na hoga paiwand

    dil meri jaan agar yak sar-e-mu TuT gaya

    us KHud-ara ke raha hath mein nit aaina

    gham se aaina-e-dil hae na tu TuT gaya

    mohtasib ne to KHarabaat mein ki KHun-rezi

    par sar-e-rind pe shab mai ka kadu TuT gaya

    dekhna tar-e-mohabbat ki hai mushkil phir sanTh

    rishta-e-dosti ai 'lutf' kabhu TuT gaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now