kis liye dekh rahi ho mujhe hairani se
kis liye dekh rahī ho mujhe hairānī se
ġhuncha kahlātā hai gul chāk-garebānī se
husn vāqif hī bahut thā fan-e-'uryānī se
varna maa.il maiñ kahāñ hotā thā āsānī se
is liye bhī maiñ faqīroñ kī tarah rahtā huuñ
koī nisbat hai mirī be-sar-o-sāmānī se
baa'z auqāt to maiñ 'ālam-e-hū ko ḳhud meñ
khīñch letā huuñ tasāhul kī farāvānī se
ai ḳhudā un ko ye ehsās na hone denā
kaun mā'zūl huā masnad-e-sultānī se
ek vo daur udāsī kā 'ajab daur thā jab
ek peshānī juḌī rahtī thī peshānī se
ik 'alī' naam kā saa.il hai karīmoñ ke karīm
aur darbār meñ pahuñchā hai pareshānī se
kis liye dekh rahi ho mujhe hairani se
ghuncha kahlata hai gul chaak-garebani se
husn waqif hi bahut tha fan-e-'uryani se
warna mail main kahan hota tha aasani se
is liye bhi main faqiron ki tarah rahta hun
koi nisbat hai meri be-sar-o-samani se
ba'z auqat to main 'alam-e-hu ko KHud mein
khinch leta hun tasahul ki farawani se
ai KHuda un ko ye ehsas na hone dena
kaun ma'zul hua masnad-e-sultani se
ek wo daur udasi ka 'ajab daur tha jab
ek peshani juDi rahti thi peshani se
ek 'ali' nam ka sail hai karimon ke karim
aur darbar mein pahuncha hai pareshani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.