Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis liye gosha-e-aKHbar ye Khaali jae

Zia Faruqi

kis liye gosha-e-aKHbar ye Khaali jae

Zia Faruqi

MORE BYZia Faruqi

    kis liye gosha-e-aḳhbār ye ḳhālī jaa.e

    ik ḳhabar apnī shohrat banā jaa.e

    kuchh to āñkhoñ ko nazar aa.e jahān-e-dīgar

    kuchh to ab raushnī-e-shauq baḌhā jaa.e

    dekheñ ahbāb pe kyā radd-e-amal hotā hai

    apne mar jaane afvāh uḌā jaa.e

    ham faqīroñ ke liye haath apnā takiya

    chādar-e-ḳhāk kahīñ par bhī bichhā jaa.e

    daulat-e-ishq se māmūr hai takiya merā

    'ziyā' ahbāb ko ye baat batā jaa.e

    kis liye gosha-e-aKHbar ye KHali jae

    ek KHabar apni hi shohrat ki bana li jae

    kuchh to aankhon ko nazar aae jahan-e-digar

    kuchh to ab raushni-e-shauq baDha li jae

    dekhen ahbab pe kya radd-e-amal hota hai

    apne mar jaane ki afwah uDa li jae

    hum faqiron ke liye hath ka apna takiya

    chadar-e-KHak kahin par bhi bichha li jae

    daulat-e-ishq se mamur hai takiya mera

    'ziya' ahbab ko ye baat bata li jae

    Source:

    Dasht-e-Shab (Pg. 83)

    • Author: Zia Faruqi
      • Publisher: U.P Computer, Bhopal
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now