Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis manzar mein kaise manzar ug aate hain

muneer saifi

kis manzar mein kaise manzar ug aate hain

muneer saifi

MORE BYmuneer saifi

    kis manzar meñ kaise manzar ug aate haiñ

    ḳhvāb ugānā chāhūñ patthar ug aate haiñ

    ye nā-mumkin hai phir bhī lagtā hai jaise

    qaid meñ vaqt se pahle par ug aate haiñ

    mausam e.ajāz hai jaadū hai koī

    rātoñ-rāt daraḳhtoñ par ghar ug aate haiñ

    puure chāñd raat samundar narm havā.eñ

    sat.h-e-āb pe kyā kyā paikar ug aate haiñ

    ishq meñ qāmat yuuñ dhyān rakhā jaatā hai

    gardan kaT jaatī hai to sar ug aate haiñ

    us ke naam naqqārā bajte 'saifī'

    chāroñ-jānib dard ke lashkar ug aate haiñ

    kis manzar mein kaise manzar ug aate hain

    KHwab ugana chahun patthar ug aate hain

    ye na-mumkin hai phir bhi lagta hai jaise

    qaid mein waqt se pahle hi par ug aate hain

    mausam ka eajaz hai ya jadu hai koi

    raaton-raat daraKHton par ghar ug aate hain

    pure chand ki raat samundar narm hawaen

    sath-e-ab pe kya kya paikar ug aate hain

    ishq mein qamat ka yun dhyan rakha jata hai

    gardan kaT jati hai to sar ug aate hain

    us ke nam ka naqqara bajte hi 'saifi'

    chaaron-jaanib dard ke lashkar ug aate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now