Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis nam-e-mubarak ne maza munh ko diya hai

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

kis nam-e-mubarak ne maza munh ko diya hai

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

MORE BYWahshat Raza Ali Kalkatvi

    kis nām-e-mubārak ne maza muñh ko diyā hai

    kyuuñ lab pe mire zamzama-e-sall-e-alā hai

    kis dar gadā.ī mirī qismat meñ hai rab

    sar par jo mire sāya-fagan bāl-e-humā hai

    siine meñ mire dāġh-e-ġham-e-ishq-e-nabī hai

    ik gauhar-e-nāyāb mire haath lagā hai

    sargarm hai dil shāfa-e-mahshar talab meñ

    kāfir huuñ agar kuchh bhī ġham-e-roz-e-jazā hai

    gustāḳh tirī mad.h-sarā.ī meñ hai 'vahshat'

    kyūñkar na ho tere to kūche gadā hai

    kis nam-e-mubarak ne maza munh ko diya hai

    kyun lab pe mere zamzama-e-sall-e-ala hai

    kis dar ki gadai meri qismat mein hai ya rab

    sar par jo mere saya-fagan baal-e-huma hai

    sine mein mere dagh-e-gham-e-ishq-e-nabi hai

    ek gauhar-e-nayab mere hath laga hai

    sargarm hai dil shafa-e-mahshar ki talab mein

    kafir hun agar kuchh bhi gham-e-roz-e-jaza hai

    gustaKH teri madh-sarai mein hai 'wahshat'

    kyunkar na ho tere hi to kuche ka gada hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now