Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ne apna dil jalaya raat ki dahliz par

Najma Usman

kis ne apna dil jalaya raat ki dahliz par

Najma Usman

MORE BYNajma Usman

    kis ne apnā dil jalāyā raat dahlīz par

    kaun hai naġhma-sarā sadmāt dahlīz par

    ai ḳhudā āsūdgī ek lamha mere naam

    umr guzrī hai mirī ḳhadshāt dahlīz par

    umr bhar is dhuup meñ be-sā.ebāñ maiñ bhī rahī

    muntazir vo bhī rahā hālāt dahlīz par

    kaun zevar chāhatoñ ke aur TuuTī chūḌiyāñ

    rakh gayā hai ek bichhḌī raat dahlīz par

    kis ne apna dil jalaya raat ki dahliz par

    kaun hai naghma-sara sadmat ki dahliz par

    ai KHuda aasudgi ka ek lamha mere nam

    umr guzri hai meri KHadshat ki dahliz par

    umr bhar is dhup mein be-saeban main bhi rahi

    muntazir wo bhi raha haalat ki dahliz par

    kaun zewar chahaton ke aur TuTi chuDiyan

    rakh gaya hai ek bichhDi raat ki dahliz par

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 468)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now