Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ne dekhe honge ab tak aise nae nirale patthar

Prem Warbartani

kis ne dekhe honge ab tak aise nae nirale patthar

Prem Warbartani

MORE BYPrem Warbartani

    kis ne dekhe hoñge ab tak aise na.e nirāle patthar

    maiñ ne apne tāj-mahal meñ chunvā.e haiñ kaale patthar

    jo hīroñ ke ruup meñ dar dar apne aañsū baañT rahe haiñ

    un fan-kāroñ par pheñkeñge kab tak duniyā vaale patthar

    jaane kaun the jin ko jīvan-rut se bhiik milī rañgoñ

    apnī suunī jholī meñ to phūloñ ne bhī Daale patthar

    maqtal be-rahm fasīleñ sar tak aa pahuñchī haiñ āḳhir

    mere jism dīvāroñ se ab to koī haTā le patthar

    pyaar tumhārā jhūTā hai aur jhūTā hai bhagvān bhī shāyad

    varna kuchh to kahte būḌhe mandir ke rakhvāle patthar

    apne apne naam ke ujle shīsh-mahal ḳhair manāo

    har shohrat muTThī meñ haiñ rusvā.ī ke kaale patthar

    ai dhanvāno tum kyā jaano zauq-e-ibādat qadr-e-parstish

    tum sab hiire motī le lo kar do mire havāle patthar

    'prem' is yug sāl-girah par aur bhalā kyā tohfa dete

    chāñd dilkash dhartī se bhī ham ne DhūñDh nikāle patthar

    kis ne dekhe honge ab tak aise nae nirale patthar

    main ne apne taj-mahal mein chunwae hain kale patthar

    jo hiron ke rup mein dar dar apne aansu banT rahe hain

    un fan-karon par phenkenge kab tak duniya wale patthar

    jaane kaun the jin ko jiwan-rut se bhik mili rangon ki

    apni suni jholi mein to phulon ne bhi Dale patthar

    maqtal ki be-rahm fasilen sar tak aa pahunchi hain aaKHir

    mere jism ki diwaron se ab to koi haTa le patthar

    pyar tumhaara jhuTa hai aur jhuTa hai bhagwan bhi shayad

    warna kuchh to kahte buDhe mandir ke rakhwale patthar

    apne apne nam ke ujle shish-mahal ki KHair manao

    har shohrat ki muTThi mein hain ruswai ke kale patthar

    ai dhanwano tum kya jaano zauq-e-ibaadat qadr-e-parstish

    tum sab hire moti le lo kar do mere hawale patthar

    'prem' is yug ki sal-girah par aur bhala kya tohfa dete

    chand ki dilkash dharti se bhi hum ne DhunDh nikale patthar

    Source:

    Khushbu Ka Khwab (Pg. 167)

    • Author: Prem Warbartani
      • Edition: 1976
      • Publisher: Miss V. D. Kakkad
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now