Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ne kaha tha shahr mein aa kar aankh laDao diwaron se

Ram Parkash Rahi

kis ne kaha tha shahr mein aa kar aankh laDao diwaron se

Ram Parkash Rahi

MORE BYRam Parkash Rahi

    kis ne kahā thā shahr meñ aa kar aañkh laḌāo dīvāroñ se

    saaya saaya bhaTak bhaTak ab sar Takrāo dīvāroñ se

    ghaat palkeñ jhapak rahe haiñ khul khul kar anjān darīche

    zaḳhmoñ ke ab phuul sameTo patthar khaao dīvāroñ se

    qat-e-nazar ke baa'd bhī aksar baḌh jaatī hai dil dhaḌkan

    aañkh uThā.e kyā bantā hai dil uThāo dīvāroñ se

    rastoñ tahzīb yahī hai daa.eñ baa.eñ chhoḌ ke chalnā

    sīdhe ghar jaanā hai to muñh na lagāo dīvāroñ se

    soch ghuTan meñ Duub na jaa.e toḌo ye sankoch ke ghere

    khulī havā meñ par phailāo jaan bachāo dīvāroñ se

    lams lazzat narmī saḳhtī donoñ gaDmaD rishta hai

    paas aa kar tum samjhoge duur na jaao dīvāroñ se

    ye bhī kaisī riit samay buniyādoñ se mehrāboñ tak

    ḳhuun ke naate sab kuchh de kar kuchh bhī na paao dīvāroñ se

    kis ne kaha tha shahr mein aa kar aankh laDao diwaron se

    saya saya bhaTak bhaTak ab sar Takrao diwaron se

    ghat ki palken jhapak rahe hain khul khul kar anjaan dariche

    zaKHmon ke ab phul sameTo patthar khao diwaron se

    qat-e-nazar ke ba'd bhi aksar baDh jati hai dil ki dhaDkan

    aankh uThae kya banta hai dil hi uThao diwaron se

    raston ki tahzib yahi hai daen baen chhoD ke chalna

    sidhe hi ghar jaana hai to munh na lagao diwaron se

    soch ghuTan mein Dub na jae toDo ye sankoch ke ghere

    khuli hawa mein par phailao jaan bachao diwaron se

    lams ki lazzat narmi saKHti donon ka gaDmaD rishta hai

    pas hi aa kar tum samjhoge dur na jao diwaron se

    ye bhi kaisi rit samay ki buniyaadon se mehrabon tak

    KHun ke nate sab kuchh de kar kuchh bhi na pao diwaron se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now