Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ne khinchi manzaron par bad-hawasi ki lakir

Qurban Aatish

kis ne khinchi manzaron par bad-hawasi ki lakir

Qurban Aatish

MORE BYQurban Aatish

    kis ne khīñchī manzaroñ par bad-havāsī lakīr

    har taraf chhāne lagī gahrī udāsī lakīr

    apne apne kaase sab ahbāb le kar chuke

    kaun paḌhtā hai laboñ se ek pyāsī lakīr

    in dinoñ rahm-o-karam hai mausam-e-bārāñ kyā

    phailtī rahī hai bad-qayāsī lakīr

    apnī qismat meñ safar āb-o-dāna saath hai

    ghar se le kar ham chale raḳht-e-asāsī lakīr

    ahd-e-nau ke saf.ha-e-qirtās par qurbān ab

    ug ga.ī har samt ik shaḳhs-e-siyāsī lakīr

    kis ne khinchi manzaron par bad-hawasi ki lakir

    har taraf chhane lagi gahri udasi ki lakir

    apne apne kase sab ahbab le kar ja chuke

    kaun paDhta hai labon se ek pyasi ki lakir

    in dinon rahm-o-karam hai mausam-e-baran ka kya

    phailti hi ja rahi hai bad-qayasi ki lakir

    apni qismat mein safar ka aab-o-dana sath hai

    ghar se le kar hum chale raKHt-e-asasi ki lakir

    ahd-e-nau ke safha-e-qirtas par qurban ab

    ug gai har samt ek shaKHs-e-siyasi ki lakir

    Source:

    (Pg. 223)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now