kis pe miTna tha mujhe aur mar-miTa kis kaam par

kis pe miTna tha mujhe aur mar-miTa kis kaam par
Musarif Husain Mansoori
MORE BYMusarif Husain Mansoori
kis pe miTnā thā mujhe aur mar-miTā kis kaam par
maiñ ne duniyā hī kamā.ī āḳhirat ke naam par
Duub jaane kī tamanna tairnā sikhlā ga.ī
naaz kartā huuñ maiñ apnī koshish-e-nākām par
mujh ko jiine kī talab le aa.ī is bāzār meñ
jis meñ sāñseñ mil rahī haiñ zindagī ke daam par
ek bastī tīrgī meñ dafn ho kar rah ga.ī
uñgliyāñ uThne lagī haiñ raushnī ke naam par
yuuñ bhī tujh se 'ishq hai tū hai ḳhudā kā shāhkār
aur maiñ duniyā meñ laayā bhī gayā is kaam par
kuchh bhī ho lekin vo achchhā ham-safar hotā nahīñ
ibtidā meñ tabsira kartā hai jo anjām par
'ishq hai tujh se tujhe kaise rakhūñ nazroñ se duur
kaise samjhauta kare mai-ḳhvār apne jaam par
kis pe miTna tha mujhe aur mar-miTa kis kaam par
main ne duniya hi kamai aaKHirat ke nam par
Dub jaane ki tamanna tairna sikhla gai
naz karta hun main apni koshish-e-nakaam par
mujh ko jine ki talab le aai is bazar mein
jis mein sansen mil rahi hain zindagi ke dam par
ek basti tirgi mein dafn ho kar rah gai
ungliyan uThne lagi hain raushni ke nam par
yun bhi tujh se 'ishq hai tu hai KHuda ka shahkar
aur main duniya mein laya bhi gaya is kaam par
kuchh bhi ho lekin wo achchha ham-safar hota nahin
ibtida mein tabsira karta hai jo anjam par
'ishq hai tujh se tujhe kaise rakhun nazron se dur
kaise samjhauta kare mai-KHwar apne jam par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.