kis qadar aazmane lage
kis qadar āzmāne lage
aap bhī dil dukhāne lage
yuuñ ḳhayāloñ pe chhāne lage
vo ġhazal ban ke aane lage
man ke āñgan meñ phir din Dhale
yaad ke shāmiyāne lage
chaar pal kī mulāqāt ko
bhūlne meñ zamāne lage
tum agar saath mere chalo
maut dāman bachāne lage
merī sūrat ko kyā ho gayā
aa.ine muñh chiḌhāne lage
chal paḌī āñdhiyāñ aur ham
phūñs kā ghar banāne lage
ab to aa jā ḳhudā ke liye
log kyā kyā uḌāne lage
tum ko 'gulshan' ye kyā ho gayā
niiñd meñ gungunāne lage
kis qadar aazmane lage
aap bhi dil dukhane lage
yun KHayalon pe chhane lage
wo ghazal ban ke aane lage
man ke aangan mein phir din Dhale
yaad ke shamiyane lage
chaar pal ki mulaqat ko
bhulne mein zamane lage
tum agar sath mere chalo
maut daman bachane lage
meri surat ko kya ho gaya
aaine munh chiDhane lage
chal paDi aandhiyan aur hum
phuns ka ghar banane lage
ab to aa ja KHuda ke liye
log kya kya uDane lage
tum ko 'gulshan' ye kya ho gaya
nind mein gungunane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.