Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis qadar tha garm nala bulbul-e-nashad ka

Jaleel Manikpuri

kis qadar tha garm nala bulbul-e-nashad ka

Jaleel Manikpuri

MORE BYJaleel Manikpuri

    kis qadar thā garm naala bulbul-e-nāshād

    aag phūloñ meñ lagī ghar jal gayā sayyād

    sahl samjhā thā satānā bulbul-e-nāshād

    chaar nāloñ meñ kalejā hil gayā sayyād

    zer-e-ḳhanjar maiñ taḌaptā huuñ faqat is vāste

    ḳhuun merā uḌ ke dāman-gīr ho jallād

    dar-pa.e-āzār pahle āsmāñ itnā na thā

    gayā hai kuchh ishāra us sitam-ījād

    ab to vo bhī loT hai bulbul tirī āvāz par

    bārak-allāh ḳhuub phāñsā ne dil sayyād

    us ke sadqe jā.iye jis ne tujhe paidā kiyā

    shakl hūr-o-parī dil diyā jallād

    vasl meñ kaisā adab ai jaan gustāḳhī muaaf

    aaj lenā hai mujhe tum se evaz bedād

    aap bhī ḳhanjar-ba-kaf haiñ maiñ bhī huuñ sīna-sipar

    rah na jaa.e aaj koī hausla bedād

    mujh ko hai aisā chaman darkār jis meñ ai 'jalīl'

    ḳhauf gulchīñ na ho khaTkā na ho sayyād

    kis qadar tha garm nala bulbul-e-nashad ka

    aag phulon mein lagi ghar jal gaya sayyaad ka

    sahl samjha tha satana bulbul-e-nashad ka

    chaar nalon mein kaleja hil gaya sayyaad ka

    zer-e-KHanjar main taDapta hun faqat is waste

    KHun mera uD ke daman-gir ho jallad ka

    dar-pae-azar pahle aasman itna na tha

    pa gaya hai kuchh ishaara us sitam-ijad ka

    ab to wo bhi loT hai bulbul teri aawaz par

    barak-allah KHub phansa tu ne dil sayyaad ka

    us ke sadqe jaiye jis ne tujhe paida kiya

    shakl di hur-o-pari ki dil diya jallad ka

    wasl mein kaisa adab ai jaan gustaKHi muaf

    aaj lena hai mujhe tum se ewaz bedad ka

    aap bhi KHanjar-ba-kaf hain main bhi hun sina-sipar

    rah na jae aaj koi hausla bedad ka

    mujh ko hai aisa chaman darkar jis mein ai 'jalil'

    KHauf gulchin ka na ho khaTka na ho sayyaad ka

    Source:

    Kainat-e-Jalil Manakpuri (Pg. 146)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now