Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis rah gaya laila ka mahmil nahin malum

Mushafi Ghulam Hamdani

kis rah gaya laila ka mahmil nahin malum

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    kis raah gayā lailā mahmil nahīñ ma.alūm

    hai bādiya reg aur hameñ manzil nahīñ ma.alūm

    maiñ hashr ke din da.avā ḳhuuñ kis se karūñgā

    vo kushta huuñ jis kushta qātil nahīñ ma.alūm

    nikleñ haiñ mire dil ke taḌapne meñ adā.eñ

    hai kis nigāhoñ ye bismil nahīñ ma.alūm

    thā rū-e-dil-e-ḳhasta to shab merī taraf ko

    kab ho gayā mizhgāñ ke muqābil nahīñ ma.alūm

    vo bahr hai dariyā-e-sarishk apnā ki jis

    pahnā nazar aave hai sāhil nahīñ ma.alūm

    mar jā.ūñ ki jiitā rahūñ maiñ hijr meñ tere

    kis chiiz ḳhvāhāñ hai mirā dil nahīñ ma.alūm

    āñkhoñ se guzārā hai jo yuuñ laḳht jigar

    aate haiñ chale kis ke ye ghā.el nahīñ ma.alūm

    kyā jāniye kyā us meñ tirī āñkhoñ ne dekhā

    kyuuñ ho ga.iiñ ā.īne maa.il nahīñ ma.alūm

    ai 'mus.hafī' afsos ki is hastī pe ham ko

    tahsīl-e-vafādārī hāsil nahīñ ma.alūm

    kis rah gaya laila ka mahmil nahin malum

    hai baadiya reg aur hamein manzil nahin malum

    main hashr ke din dawa KHun kis se karunga

    wo kushta hun jis kushta ka qatil nahin malum

    niklen hain mere dil ke taDapne mein adaen

    hai kis ki nigahon ka ye bismil nahin malum

    tha ru-e-dil-e-KHasta to shab meri taraf ko

    kab ho gaya mizhgan ke muqabil nahin malum

    wo bahr hai dariya-e-sarishk apna ki jis ka

    pahna hi nazar aawe hai sahil nahin malum

    mar jaun ki jita rahun main hijr mein tere

    kis chiz ka KHwahan hai mera dil nahin malum

    aankhon se guzara hai jo yun laKHt jigar ka

    aate hain chale kis ke ye ghael nahin malum

    kya jaaniye kya us mein teri aankhon ne dekha

    kyun ho gain aaine ki mail nahin malum

    ai 'mushafi' afsos ki is hasti pe hum ko

    tahsil-e-wafadari ka hasil nahin malum

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 193)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now