Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis shor-e-jahannum mein faza Dub chali hai

Khurshidul islam

kis shor-e-jahannum mein faza Dub chali hai

Khurshidul islam

MORE BYKhurshidul islam

    kis shor-e-jahannum meñ fazā Duub chalī hai

    dil dhaḌke hai siine meñ navā Duub chalī hai

    vo ḳhuun maujeñ haiñ har ik ki kamar tak

    farḳhanda jamāloñ qabā Duub chalī hai

    vo habs 'ālam hai ki har saañs hai ghāyal

    kyā zikr huā nabz-e-havā Duub chalī hai

    kyā jāniye kis goshe se umDī hai siyāhī

    kyā kahiye ki kirnoñ ridā Duub chalī hai

    is shor meñ kyā koī sunegā mirī āvāz

    jis shor meñ mātam sadā Duub chalī hai

    kis shor-e-jahannum mein faza Dub chali hai

    dil dhaDke hai sine mein nawa Dub chali hai

    wo KHun ki maujen hain har ek su ki kamar tak

    farKHanda jamalon ki qaba Dub chali hai

    wo habs ka 'alam hai ki har sans hai ghayal

    kya zikr hua nabz-e-hawa Dub chali hai

    kya jaaniye kis goshe se umDi hai siyahi

    kya kahiye ki kirnon ki rida Dub chali hai

    is shor mein kya koi sunega meri aawaz

    jis shor mein matam ki sada Dub chali hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now