Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah

Shaikh Zahuruddin Hatim

kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    kis sitamgar gunahgār huuñ allāh allāh

    kis ke tīroñ se dil-afgār huuñ allāh allāh

    us ke hāthoñ se na jiitā huuñ na martā huuñ maiñ

    kis musībat meñ giraftār huuñ allāh allāh

    ḳhizr ab duur kar aage se mire āb-e-hayāt

    kis ke bose talabgār huuñ allāh allāh

    kyuuñ na āñkhoñ meñ rakhe mujh ko zuleḳhā bhī 'azīz

    kaise yūsuf ḳharīdār huuñ allāh allāh

    namak-e-husn se us lab ke maze lūTūñ huuñ

    kis namak-dāñ namak-ḳhvār huuñ allāh allāh

    nargis ab ham se na kar dāva-e-ham-chashmī

    kis nargis maiñ bīmār huuñ allāh allāh

    itnā kahtā bhī nahīñ kaun ye chillātā hai

    kab se nālāñ pas-e-dīvār huuñ allāh allāh

    ḳhvāb meñ yaar ne aa mujh ko jagāyā 'hātim'

    kis qadar tāle-e-be-dār huuñ allāh allāh

    kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah

    kis ke tiron se dil-afgar hun allah allah

    us ke hathon se na jita hun na marta hun main

    kis musibat mein giraftar hun allah allah

    KHizr ab dur kar aage se mere aab-e-hayat

    kis ke bose ka talabgar hun allah allah

    kyun na aankhon mein rakhe mujh ko zuleKHa bhi 'aziz

    kaise yusuf ka KHaridar hun allah allah

    namak-e-husn se us lab ke maze luTun hun

    kis namak-dan ka namak-KHwar hun allah allah

    nargis ab hum se na kar dawa-e-ham-chashmi tu

    kis ki nargis ka main bimar hun allah allah

    itna kahta bhi nahin kaun ye chillata hai

    kab se nalan pas-e-diwar hun allah allah

    KHwab mein yar ne aa mujh ko jagaya 'hatim'

    kis qadar tale-e-be-dar hun allah allah

    Source:

    Diwan-e-Zadah (Pg. 274)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now