Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis tarah yaad mein us shoKH ki bekal dariya

Pasha Rahman

kis tarah yaad mein us shoKH ki bekal dariya

Pasha Rahman

MORE BYPasha Rahman

    kis tarah yaad meñ us shoḳh bekal dariyā

    koh meñ dasht meñ phirtā rahā pāgal dariyā

    chāñdnī raat vo kāfir ye fazā-e-mai-gūñ

    paas añgḌā.iyāñ letā huā chanchal dariyā

    jab vo āseb-zada dasht se guzrā to lagā

    jaise nau-ḳhez beva hai āñchal dariyā

    apnī ḳhāmoshī pe kyā aur kahūñ is ke sivā

    jaise tūfān se pahle koī bekal dariyā

    aisī saḳht use choT lagī hai dil par

    saañp tarah taḌaptā hai ye ghā.il dariyā

    kis tarah yaad mein us shoKH ki bekal dariya

    koh mein dasht mein phirta raha pagal dariya

    chandni raat wo kafir ye faza-e-mai-gun

    pas angDaiyan leta hua chanchal dariya

    jab wo aaseb-zada dasht se guzra to laga

    jaise nau-KHez si bewa ka hai aanchal dariya

    apni KHamoshi pe kya aur kahun is ke siwa

    jaise tufan se pahle koi bekal dariya

    aisi hi saKHt use choT lagi hai dil par

    sanp ki tarah taDapta hai ye ghail dariya

    Source:

    Nishat-e-Karb (Pg. 55)

    • Author: Pasha Rahman
      • Publisher: Urdu academy Sindh, Karachi
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now