kis tarh wo aalam ko na diwana bana de
kis tarh vo 'ālam ko na dīvāna banā de
ye husn ye andāz-o-adā jis ko ḳhudā de
dekhī nahīñ jaatī hai kisī se mirī hālat
ab vo bhī ye kahte haiñ ḳhudā us ko shifā de
phir hosh ke 'ālam meñ bhalā aa.uuñ maiñ kyūñkar
ġhash meñ mujhe dāman se jo vo apne havā de
jāñ-bāzī-e-parvāna pe kiije na ta'ajjub
qismat hai jise himmat-e-mardāna ḳhudā de
vo dekh ke kahte haiñ mirī naz' meñ uljhan
yuuñ maut javānī meñ kisī ko na ḳhudā de
kyā jaane vo kyā lutf hai āshufta-sarī meñ
jab tak na kisī ko dil-e-dīvāna ḳhudā de
muusā talab-e-dīd pe isrār na kiije
kyā ho jo naqāb-e-ruḳh-e-raushan vo uThā de
ḳhilqat kī zabāñ kā hai ye adnā sā karishma
thoḌī sī ho baat aur vo afsāna banā de
aa.e haiñ 'ayādat ko sirhāne dam-e-āḳhir
allāh mirī naz' ke lamhāt baḌhā de
kyoñ sajde meñ us ke na jhukeñ sab kī jabīneñ
ik ḳhaak ke putle ko jo insān banā de
kis tarh wo 'alam ko na diwana bana de
ye husn ye andaz-o-ada jis ko KHuda de
dekhi nahin jati hai kisi se meri haalat
ab wo bhi ye kahte hain KHuda us ko shifa de
phir hosh ke 'alam mein bhala aaun main kyunkar
ghash mein mujhe daman se jo wo apne hawa de
jaan-bazi-e-parwana pe kije na ta'ajjub
qismat hai jise himmat-e-mardana KHuda de
wo dekh ke kahte hain meri naz' mein uljhan
yun maut jawani mein kisi ko na KHuda de
kya jaane wo kya lutf hai aashufta-sari mein
jab tak na kisi ko dil-e-diwana KHuda de
musa talab-e-did pe israr na kije
kya ho jo naqab-e-ruKH-e-raushan wo uTha de
KHilqat ki zaban ka hai ye adna sa karishma
thoDi si ho baat aur wo afsana bana de
aae hain 'ayaadat ko sirhane dam-e-aKHir
allah meri naz' ke lamhat baDha de
kyon sajde mein us ke na jhuken sab ki jabinen
ek KHak ke putle ko jo insan bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.