Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kise DhunDhti hai mohabbat kisi ki

Shaista Mufti

kise DhunDhti hai mohabbat kisi ki

Shaista Mufti

MORE BYShaista Mufti

    kise DhūñDhtī hai mohabbat kisī

    adam paar hai ab sukūnat kisī

    guzārī hai umr-e-ravāñ ḳhvāb jaise

    hai ye rā.egānī badaulat kisī

    haiñ kuchh zaḳhm jo motiyoñ se jaḌe haiñ

    ki phir yaad aa.ī shabāhat kisī

    maiñ chhū aa.ī saat āsmāñ kuchh ḳhabar hai

    magar dil se niklī na hasrat kisī

    thī sadiyoñ se ik mo.ajize tamannā

    mujhe raas aa.egī sohbat kisī

    mujhe zahr-e-qātil bhī raas aa gayā hai

    mujhe maar Dālegī hairat kisī

    maiñ kuchh kah na pā.ūñgī ye jāntī huuñ

    agar ho mayassar jo ḳhalvat kisī

    faqat chand lamhe mile jugnuoñ se

    kisī rifāqat meñ ujrat kisī

    kise DhunDhti hai mohabbat kisi ki

    adam par hai ab sukunat kisi ki

    guzari hai umr-e-rawan KHwab jaise

    hai ye raegani badaulat kisi ki

    hain kuchh zaKHm jo motiyon se jaDe hain

    ki phir yaad aai shabahat kisi ki

    main chhu aai sat aasman kuchh KHabar hai

    magar dil se nikli na hasrat kisi ki

    thi sadiyon se ek moajize ki tamanna

    mujhe ras aaegi sohbat kisi ki

    mujhe zahr-e-qatil bhi ras aa gaya hai

    mujhe mar Dalegi hairat kisi ki

    main kuchh kah na paungi ye jaanti hun

    agar ho mayassar jo KHalwat kisi ki

    faqat chand lamhe mile jugnuon se

    kisi ki rifaqat mein ujrat kisi ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now