Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kise dimagh ki uljhe tilism-e-zat ke sath

Ataurrahman Qazi

kise dimagh ki uljhe tilism-e-zat ke sath

Ataurrahman Qazi

MORE BYAtaurrahman Qazi

    kise dimāġh ki uljhe tilism-e-zāt ke saath

    ulajh rahā huuñ abhī terī kā.enāt ke saath

    maiñ dīd-bān azal se jidhar bhī dekhtā thā

    shikasta jaam paḌā hai ajā.ibāt ke saath

    nikal gayā thā maiñ ik roz ḳhāk-dāñ taraf

    guzar rahī hai shab o roz hādsāt ke saath

    maiñ Duub Duub gayā be-nishāñ bhañvar meñ kahīñ

    ḳhalā meñ raqs-kunāñ ghūmtī praat ke saath

    muhīt-e-āb meñ har saañs Doltī nayyā

    ġham-e-vajūd juḌā hai ġham-e-hayāt ke saath

    vahī haram hai vahī but vahī pujārī haiñ

    vahī diloñ ta.alluq hai somnāt ke saath

    bikhar bikhar gayā ik mauj-e-rā.egāñ tarah

    kisī jiit nashsha kisī maat ke saath

    ḳhizāñ shaal meñ lipTe shajar pe parvāne

    numū ke giit likhe rañg-e-mumkināt ke saath

    qadam qadam pe ulajhnā vo be-sabab dil

    hai ab to roz ma.amūl pāñch saat ke saath

    hazār talḳh sahī phir bhī ḳhush-navā hai bahut

    kisī charāġh lahja siyāh raat ke saath

    sunā hai mausam-e-be-rañgi-e-zamāñ yaksar

    badal gayā hai tirī chashm-e-iltifāt ke saath

    maiñ ab bhī maazī galiyoñ meñ nikaltā huuñ

    paḌī hai TaaT pe taḳhtī qalam davāt ke saath

    bahut dinoñ vo rahā hai isī khañDar meñ muqīm

    so rakh diyā hai ye dil bhī navādirāt ke saath

    ye bastiyoñ pe ajab vahshatoñ mausam hai

    numū-pazīr huā hai taġhayyurāt ke saath

    maiñ kunj-e-zāt se niklā to yuuñ huā ki 'atā'

    kuchh aur phail gayā ġham bhī shash-jahāt ke saath

    kise dimagh ki uljhe tilism-e-zat ke sath

    ulajh raha hun abhi teri kaenat ke sath

    main did-ban azal se jidhar bhi dekhta tha

    shikasta jam paDa hai ajaibaat ke sath

    nikal gaya tha main ek roz KHak-dan ki taraf

    guzar rahi hai shab o roz hadsat ke sath

    main Dub Dub gaya be-nishan bhanwar mein kahin

    KHala mein raqs-kunan ghumti praat ke sath

    muhit-e-ab mein har sans Dolti nayya

    gham-e-wajud juDa hai gham-e-hayat ke sath

    wahi haram hai wahi but wahi pujari hain

    wahi dilon ka talluq hai somnat ke sath

    bikhar bikhar gaya ek mauj-e-raegan ki tarah

    kisi ki jit ka nashsha kisi ki mat ke sath

    KHizan ki shaal mein lipTe shajar pe parwane

    numu ke git likhe rang-e-mumkinat ke sath

    qadam qadam pe ulajhna wo be-sabab dil ka

    hai ab to roz ka mamul panch sat ke sath

    hazar talKH sahi phir bhi KHush-nawa hai bahut

    kisi charagh ka lahja siyah raat ke sath

    suna hai mausam-e-be-rangi-e-zaman yaksar

    badal gaya hai teri chashm-e-iltifat ke sath

    main ab bhi mazi ki galiyon mein ja nikalta hun

    paDi hai TaT pe taKHti qalam dawat ke sath

    bahut dinon wo raha hai isi khanDar mein muqim

    so rakh diya hai ye dil bhi nawadiraat ke sath

    ye bastiyon pe ajab wahshaton ka mausam hai

    numu-pazir hua hai taghayyuraat ke sath

    main kunj-e-zat se nikla to yun hua ki 'ata'

    kuchh aur phail gaya gham bhi shash-jahat ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now