kise sunaun main juzw-e-maqal sham ke baad
kise sunā.ūñ maiñ juzv-e-maqāl shaam ke baa'd
to ḳhud hī bantī huuñ pursān-e-hāl shaam ke baad
thā jin pe maan hameñ pā.emāl un se hue
javāz DhūñDh ke karte malāl shaam ke baa'd
baserā karnā parindoñ kā ho gayā mushkil
kisī ne pheñkā daraḳhtoñ pe jaal shaam ke baa'd
hameñ latāḌā gayā is qadar mohabbat meñ
ḳhamosh ro.e jab aaya ḳhayāl shaam ke baa'd
tamāshbīn ye duniyā har ik pe hañstī rahī
hue haiñ hausle sab ke niDhāl shaam ke baa'd
ye mai-kada hai jahāñ sirf 'aish hotā hai
yahāñ nahīñ hai harām-o-halāl shaam ke baa'd
mirī hayāt ko ab kar de muḳhtasar yā-rab
mazīd jiinā huā hai muhāl shaam ke baa'd
kise sunaun main juzw-e-maqal sham ke ba'd
to KHud hi banti hun pursan-e-haal sham ke baad
tha jin pe man hamein paemal un se hue
jawaz DhunDh ke karte malal sham ke ba'd
basera karna parindon ka ho gaya mushkil
kisi ne phenka daraKHton pe jal sham ke ba'd
hamein lataDa gaya is qadar mohabbat mein
KHamosh roe jab aaya KHayal sham ke ba'd
tamashbin ye duniya har ek pe hansti rahi
hue hain hausle sab ke niDhaal sham ke ba'd
ye mai-kada hai jahan sirf 'aish hota hai
yahan nahin hai haram-o-halal sham ke ba'd
meri hayat ko ab kar de muKHtasar ya-rab
mazid jina hua hai muhaal sham ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.