Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisht-e-viran ki tarah tishna rahi raat meri

Sajida Zaidi

kisht-e-viran ki tarah tishna rahi raat meri

Sajida Zaidi

MORE BYSajida Zaidi

    kisht-e-vīrāñ tarah tishna rahī raat mirī

    lauT aa.ī tire dar se bhī munājāt mirī

    to lahū ban ke ragoñ meñ mirī dauḌā lekin

    tishna-e-dīd rahī tujh se mulāqāt mirī

    dil pe khulte nahīñ asrār-e-vajūd aur adam

    yahī hairān-nigāhī hai mukāfāt mirī

    kaun samjhā mirī bedār-nigāhī hudūd

    yuuñ to har haath meñ thī sharh-e-hikāyāt mirī

    garche āvāra rahe mere fasāne har

    rāz-e-sar-basta zamāne meñ rahī zaat mirī

    sāz-o-āhañg e.ajāz thā har lafz mirā

    phūñk Daalī ḳhas-o-ḳhāshāk ne sauġhāt mirī

    haiñ zamīñ aur zamāñ dūd-e-charāġh-e-shab-e-ġham

    mujh ko le aa.ī kahāñ gardish-e-hālāt mirī

    kisht-e-viran ki tarah tishna rahi raat meri

    lauT aai tere dar se bhi munajat meri

    to lahu ban ke ragon mein meri dauDa lekin

    tishna-e-did rahi tujh se mulaqat meri

    dil pe khulte nahin asrar-e-wajud aur adam

    yahi hairan-nigahi hai mukafat meri

    kaun samjha meri bedar-nigahi ki hudud

    yun to har hath mein thi sharh-e-hikayat meri

    garche aawara rahe mere fasane har su

    raaz-e-sar-basta zamane mein rahi zat meri

    saz-o-ahang ka eajaz tha har lafz mera

    phunk Dali KHas-o-KHashak ne saughat meri

    hain zamin aur zaman dud-e-charagh-e-shab-e-gham

    mujh ko le aai kahan gardish-e-haalat meri

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 410)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now