Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi bachpan mein banai hui kashti jaisa

Isma Hadia

kisi bachpan mein banai hui kashti jaisa

Isma Hadia

MORE BYIsma Hadia

    kisī bachpan meñ banā.ī huī kashtī jaisā

    saath terā thā magar dhuup narmī jaisā

    maiñ musāfir thī ki manzil nahīñ thī jis

    mire saath kisī rail paTrī jaisā

    phuul shāḳhoñ pe koī khil nahīñ paayā thā

    mausam-e-vasl kisī hijr saḳhtī jaisā

    saḳhtiyāñ boltī rahtī thiiñ tire lahje meñ

    aur mirā dil ye kisī kāñch chūḌī jaisā

    ham tire va.ade zanjīr liye baiThe rahe

    jāgtī aañkh meñ ik ḳhvāb thā lorī jaisā

    dard in āñkhoñ se dariyā tarah niklā hai

    'hādia' ham to samajhte the sarābī jaisā

    kisi bachpan mein banai hui kashti jaisa

    sath tera tha magar dhup ki narmi jaisa

    main musafir thi ki manzil hi nahin thi jis ki

    tu mere sath kisi rail ki paTri jaisa

    phul shaKHon pe koi khil hi nahin paya tha

    mausam-e-wasl kisi hijr ki saKHti jaisa

    saKHtiyan bolti rahti thin tere lahje mein

    aur mera dil ye kisi kanch ki chuDi jaisa

    hum tere wade ki zanjir liye baiThe rahe

    jagti aankh mein ek KHwab tha lori jaisa

    dard in aankhon se dariya ki tarah nikla hai

    'hadia' hum to samajhte the sarabi jaisa

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now