Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi bhi hadse se zindagi ke hum nahin Darte

Mohammad Hazim Hassan

kisi bhi hadse se zindagi ke hum nahin Darte

Mohammad Hazim Hassan

MORE BYMohammad Hazim Hassan

    kisī bhī hādse se zindagī ke ham nahīñ Darte

    kisī bhī haal meñ ham hausla kuchh kam nahīñ karte

    ham aane vaale kal ke vāste bechain rahte haiñ

    jo kal guzrā hai us kal kabhī mātam nahīñ karte

    hamārī zaat se taklīf pahuñche koī nā-mumkin

    koī nāhaq agar rūThe to us ġham nahīñ karte

    jinheñ ma.alūm hai ashkoñ qīmat ai mire hamdam

    kisī ke sāmne āñkhoñ ko apnī nam nahīñ karte

    hai jin ke dil meñ ummīd-o-yaqīñ raushnī baaqī

    charāġh-e-ārzū lau ko vo maddham nahīñ karte

    jinheñ maqsad meñ apne kāmyābī ho nahīñ paatī

    vo jidd-o-jahd karte haiñ magar paiham nahīñ karte

    tahammul apnī fitrat meñ hai shāmil vo kabhī 'hassān'

    mizāj apnā zarā baat par barham nahīñ karte

    kisi bhi hadse se zindagi ke hum nahin Darte

    kisi bhi haal mein hum hausla kuchh kam nahin karte

    hum aane wale kal ke waste bechain rahte hain

    jo kal guzra hai us kal ka kabhi matam nahin karte

    hamari zat se taklif pahunche koi na-mumkin

    koi nahaq agar ruThe to us ka gham nahin karte

    jinhen malum hai ashkon ki qimat ai mere hamdam

    kisi ke samne aankhon ko apni nam nahin karte

    hai jin ke dil mein ummid-o-yaqin ki raushni baqi

    charagh-e-arzu ki lau ko wo maddham nahin karte

    jinhen maqsad mein apne kaamyabi ho nahin pati

    wo jidd-o-jahd karte hain magar paiham nahin karte

    tahammul apni fitrat mein hai shamil wo kabhi 'hassan'

    mizaj apna zara si baat par barham nahin karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now