Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi bhi haal mein milne ki farmaish nahin chhoDi

Ekhlaq Ahmad Ekhlaq

kisi bhi haal mein milne ki farmaish nahin chhoDi

Ekhlaq Ahmad Ekhlaq

MORE BYEkhlaq Ahmad Ekhlaq

    kisī bhī haal meñ milne farmā.ish nahīñ chhoḌī

    mire dil ne tire dīdār ḳhvāhish nahīñ chhoḌī

    bichhaḌte vaqt us ne apnī chāhat qasam de kar

    hamārī vāpsī koī gunjā.ish nahīñ chhoḌī

    dam-e-āḳhir na vo aa.e na āsānī se dam niklā

    qazā ke vaqt bhī taqdīr ne gardish nahīñ chhoḌī

    hameñ ab zindagī kuchh de na de kyā farq paḌtā hai

    bure hālāt ne dil meñ koī ḳhvāhish nahīñ chhoḌī

    ḳhushī ne to hamārī samt dekhā bhī nahīñ 'aḳhlāq'

    magar ġham ne hamāre haal pursish nahīñ chhoḌī

    kisi bhi haal mein milne ki farmaish nahin chhoDi

    mere dil ne tere didar ki KHwahish nahin chhoDi

    bichhaDte waqt us ne apni chahat ki qasam de kar

    hamari wapsi ki koi gunjaish nahin chhoDi

    dam-e-aKHir na wo aae na aasani se dam nikla

    qaza ke waqt bhi taqdir ne gardish nahin chhoDi

    hamein ab zindagi kuchh de na de kya farq paDta hai

    bure haalat ne dil mein koi KHwahish nahin chhoDi

    KHushi ne to hamari samt dekha bhi nahin 'aKHlaq'

    magar gham ne hamare haal ki pursish nahin chhoDi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now