Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi bhi khet pe barse kahin ka ho jae

Shakeel Azmi

kisi bhi khet pe barse kahin ka ho jae

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    kisī bhī khet pe barse kahīñ ho jaa.e

    ḳhudā kare ki ye bādal zamīñ ho jaa.e

    du'ā karo vo sitāra zamīñ pe TuuT gire

    hamāre saath rahe aur yahīñ ho jaa.e

    'ajab nahīñ ki jahāñ ham gumān se nikleñ

    vahīñ pe qatl dobāra yaqīñ ho jaa.e

    ye chāhtā huuñ ki ab ke falak koī 'azāb

    makāñ ke naam na utre makīñ ho jaa.e

    maiñ us ke jism sab zahr ke mar jā.ūñ

    agar vo saañp mirī āstīñ ho jaa.e

    mire 'shakīl' ko pariyoñ ke des mat bhejo

    'ajab nahīñ ki ye pāgal vahīñ ho jaa.e

    kisi bhi khet pe barse kahin ka ho jae

    KHuda kare ki ye baadal zamin ka ho jae

    du'a karo wo sitara zamin pe TuT gire

    hamare sath rahe aur yahin ka ho jae

    'ajab nahin ki jahan hum guman se niklen

    wahin pe qatl dobara yaqin ka ho jae

    ye chahta hun ki ab ke falak ka koi 'azab

    makan ke nam na utre makin ka ho jae

    main us ke jism ka sab zahr pi ke mar jaun

    agar wo sanp meri aastin ka ho jae

    mere 'shakil' ko pariyon ke des mat bhejo

    'ajab nahin ki ye pagal wahin ka ho jae

    Source:

    Dhoop Dariya (Pg. 110)

    • Author: Shakeel Azmi
      • Publisher: Jawaz Publications, Malegaon
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now