aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi bhi rahnumai ka koi dawa nahin karte

Varun Gagneja Wahid

kisi bhi rahnumai ka koi dawa nahin karte

Varun Gagneja Wahid

MORE BYVarun Gagneja Wahid

    kisī bhī rahnumā.ī koī da.avā nahīñ karte

    ġhazal ke pairahan ko ham magar mailā nahīñ karte

    hamārī chāhatoñ ne to baḌe iqrār dekhe haiñ

    kisī inkār par ham dil kabhī chhoTā nahīñ karte

    sarāboñ haqīqat se bahut achchhe se vāqif haiñ

    kabhī bhī ḳhvāb ham din meñ to pīchhā nahīñ karte

    yahāñ har shai qīmat bas mohabbat mohabbat hai

    faqīroñ se kabhī jazbāt saudā nahīñ karte

    musalsal hādsoñ ne ye bhī shafqat chhīn ham se

    koī jab chhoḌ jaatā hai to ham sochā nahīñ karte

    kabhī phir hijratoñ un ke man se Dar na niklegā

    parinde so rahe hoñ jab shajar kaaTā nahīñ karte

    saje bāzār meñ bik jaa.eñ ye lālach to hai 'vāhid'

    magar in.aam ḳhātir suḳhan halkā nahīñ karte

    kisi bhi rahnumai ka koi dawa nahin karte

    ghazal ke pairahan ko hum magar maila nahin karte

    hamari chahaton ne to baDe iqrar dekhe hain

    kisi inkar par hum dil kabhi chhoTa nahin karte

    sarabon ki haqiqat se bahut achchhe se waqif hain

    kabhi bhi KHwab ka hum din mein to pichha nahin karte

    yahan har shai ki qimat bas mohabbat hi mohabbat hai

    faqiron se kabhi jazbaat ka sauda nahin karte

    musalsal hadson ne ye bhi shafqat chhin li hum se

    koi jab chhoD jata hai to hum socha nahin karte

    kabhi phir hijraton ka un ke man se Dar na niklega

    parinde so rahe hon jab shajar kaTa nahin karte

    saje bazar mein bik jaen ye lalach to hai 'wahid'

    magar inam ki KHatir suKHan halka nahin karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now