Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi bhi taur tabiat kahan sambhalne ki

Riaz Majeed

kisi bhi taur tabiat kahan sambhalne ki

Riaz Majeed

MORE BYRiaz Majeed

    kisī bhī taur tabī.at kahāñ sambhalne

    mil bhī jaa.e to hālat nahīñ badalne

    ḳhud apnī ham-safarī se bhī ho ga.e mahrūm

    ki aarzū thī tujhe saath le ke chalne

    kisī tarah to mile qahr-e-bekasī se najāt

    koī to raah ho is karb se nikalne

    asiir rahe ham pichhle ahd-nāmoñ ke

    hameñ ḳhabar nahīñ thī ruteñ badalne

    havāoñ ne hameñ jaḌ se ukhāḌ kar pheñkā

    ki aarzū thī hameñ phūlne phalne

    banā liyā hameñ apnī tarah ne

    hameñ jo zid thī tirī ḳhvāhishoñ meñ Dhalne

    udaas shāmoñ ko kyā dekh dekh rote ho

    abhī to ā.eñgī rāteñ lahū ugalne

    ek aise vaqt meñ jab zindagī bhī maut lage

    'riyāz' kaun sūrat ho dil bahalne

    kisi bhi taur tabiat kahan sambhalne ki

    tu mil bhi jae to haalat nahin badalne ki

    KHud apni ham-safari se bhi ho gae mahrum

    ki aarzu thi tujhe sath le ke chalne ki

    kisi tarah to mile qahr-e-bekasi se najat

    koi to rah ho is karb se nikalne ki

    asir hi rahe hum pichhle ahd-namon ke

    hamein KHabar hi nahin thi ruten badalne ki

    hawaon ne hamein jaD se ukhaD kar phenka

    ki aarzu thi hamein phulne ki phalne ki

    bana liya hamein apni hi tarah ka tu ne

    hamein jo zid thi teri KHwahishon mein Dhalne ki

    udas shamon ko kya dekh dekh rote ho

    abhi to aaengi raaten lahu ugalne ki

    ek aise waqt mein jab zindagi bhi maut lage

    'riyaz' kaun si surat ho dil bahalne ki

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 847)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now