Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi bhi zahr se mujhko nahin koi parhez

Qamruddin

kisi bhi zahr se mujhko nahin koi parhez

Qamruddin

MORE BYQamruddin

    kisī bhī zahr se mujh ko nahīñ koī parhez

    magar hai shart bas itnī ki ho na shahd-āmez

    vo Dar gayā jo nazar aa.ī fāḳhta us ko

    vo jis ke haath hamesha se rahe ḳhūñ-rez

    maiñ ḳhud samajh na sakā aaj tak ye apnā tilism

    ki mujh meñ hai kabhī farhād aur kabhī parvez

    namī pasīnoñ miltī rahī hai us ko aur

    azal se baaqī hai ab tak jo ḳhaak hai zarḳhez

    ye tishnagī thī mirī jis ne sar-nigūñ na kiyā

    the be-shumār vahāñ jaam aur sab labrez

    ki ek roz meñ kah hai maiñ ne ek ġhazal

    us ek shaḳhs qurbat hai kyā ġhazal-añgez

    kisi bhi zahr se mujh ko nahin koi parhez

    magar hai shart bas itni ki ho na shahd-amez

    wo Dar gaya jo nazar aai faKHta us ko

    wo jis ke hath hamesha se hi rahe KHun-rez

    main KHud samajh na saka aaj tak ye apna tilism

    ki mujh mein hai kabhi farhad aur kabhi parwez

    nami pasinon ki milti rahi hai us ko aur

    azal se baqi hai ab tak jo KHak hai zarKHez

    ye tishnagi thi meri jis ne sar-nigun na kiya

    the be-shumar wahan jam aur sab labrez

    ki ek roz mein kah li hai main ne ek ghazal

    us ek shaKHs ki qurbat hai kya ghazal-angez

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 744)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now