kisi din dusra hona paDega
kisī din dūsrā honā paḌegā
mujhe apne sivā honā paḌegā
bahut din se yahāñ maiñ ajnabī huuñ
kisī se āshnā honā paḌegā
taqāzā hai badalne kā mujhe bhī
purāne ko nayā honā paḌegā
tavāzun Thiik ho jā.egā 'āzar'
bhalā to huuñ burā honā paḌegā
kisi din dusra hona paDega
mujhe apne siwa hona paDega
bahut din se yahan main ajnabi hun
kisi se aashna hona paDega
taqaza hai badalne ka mujhe bhi
purane ko naya hona paDega
tawazun Thik ho jaega 'azar'
bhala to hun bura hona paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.