Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ka zaKHm de kar muskurana yaad aata hai

Ritu Singh Rajput Rit

kisi ka zaKHm de kar muskurana yaad aata hai

Ritu Singh Rajput Rit

MORE BYRitu Singh Rajput Rit

    kisī zaḳhm de kar muskurānā yaad aatā hai

    kisī us pe phir marham lagānā yaad aatā hai

    zamīñ pe bikhre phūloñ ko kabhī jab maiñ uThātī huuñ

    kisī toḌ kar dil chhoḌ jaanā yaad aatā hai

    ulajh kar kaam meñ jab bhuul jaatī huuñ maiñ ḳhud ko tab

    vo maañ duudh aur roTī khilānā yaad aatā hai

    mujhe yaad aatī hai aksar kaḌī vo dhuup bachpan

    vo nanhe hāthoñ se kachrā uThānā yaad aatā hai

    bharī bārish meñ chhappar se Tapaktā ḳhuub jab paanī

    vo āñchal meñ hameñ maañ chhupānā yaad aatā hai

    saḌak par jab bhī dekhūñ maiñ koī sotā huā bachcha

    mujhe apnā anāthālye meñ jaanā yaad aatā hai

    merī tanhā.iyāñ jab jab pareshāñ mujh ko kartī haiñ

    mujhe tab tab merā vo dil lagānā yaad aatā hai

    kisi ka zaKHm de kar muskurana yaad aata hai

    kisi ka us pe phir marham lagana yaad aata hai

    zamin pe bikhre phulon ko kabhi jab main uThati hun

    kisi ka toD kar dil chhoD jaana yaad aata hai

    ulajh kar kaam mein jab bhul jati hun main KHud ko tab

    wo man ka dudh aur roTi khilana yaad aata hai

    mujhe yaad aati hai aksar kaDi wo dhup bachpan ki

    wo nanhe hathon se kachra uThana yaad aata hai

    bhari barish mein chhappar se Tapakta KHub jab pani

    wo aanchal mein hamein man ka chhupana yaad aata hai

    saDak par jab bhi dekhun main koi sota hua bachcha

    mujhe apna anathaalye mein jaana yaad aata hai

    meri tanhaiyan jab jab pareshan mujh ko karti hain

    mujhe tab tab mera wo dil lagana yaad aata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now