Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke ahd ka dil raazdar aaj bhi hai

Hairat Farrukhabadi

kisi ke ahd ka dil raazdar aaj bhi hai

Hairat Farrukhabadi

MORE BYHairat Farrukhabadi

    kisī ke ahd dil rāzdār aaj bhī hai

    na ā.eñge vo magar intizār aaj bhī hai

    huī haiñ muddateñ bichhḌe hue magar ham-dam

    tire liye mirā dil be-qarār aaj bhī hai

    pilā.ī thī jo kabhī ne mast āñkhoñ se

    surūr us usī ḳhumār aaj bhī hai

    jigar ke zaḳhmoñ ko ashkoñ se ham ne sīñchā hai

    chale bhī aao ke fasl-e-bahār aaj bhī hai

    fareb-e-ahd-e-mohabbat zaḳhm hai taaza

    nashāt-e-ishq se dil lāla-zār aaj bhī hai

    vo zaḳhm jis ne atā thī zindagī 'hairat'

    mirī hayāt parvardigār aaj bhī hai

    kisi ke ahd ka dil raazdar aaj bhi hai

    na aaenge wo magar intizar aaj bhi hai

    hui hain muddaten bichhDe hue magar ham-dam

    tere liye mera dil be-qarar aaj bhi hai

    pilai thi jo kabhi tu ne mast aankhon se

    surur us ka usi ka KHumar aaj bhi hai

    jigar ke zaKHmon ko ashkon se hum ne sincha hai

    chale bhi aao ke fasl-e-bahaar aaj bhi hai

    fareb-e-ahd-e-mohabbat ka zaKHm hai taza

    nashat-e-ishq se dil lala-zar aaj bhi hai

    wo zaKHm jis ne ata ki thi zindagi 'hairat'

    meri hayat ka parwardigar aaj bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now