kisi ke ishq ki shiddat abhi junun mein hai
kisī ke 'ishq kī shiddat abhī junūn meñ hai
ubaal khātī nigāhoñ kā dard ḳhuun meñ hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke kuchh vāhime se uḌte haiñ
vo ek ġhunne kī āvāz maiñ ke nuun meñ hai
ye kis ne phuul khilāyā hai sang-rezoñ meñ
baḌe kamāl kī miTTī ḳhat-e-funūn meñ hai
ye zindagī kī chamak aur dhaḌkaneñ dil kī
ki 'aks Tuut gayā aa.ina sukūn meñ hai
kabhī kabhī kahīñ pāgal vo baḌbaḌātā hai
batāo kaun haqīqat ke andarūn meñ hai
guzarnā paḌtā hai 'ash.had' se ho ke ulfat tak
chalo kahīñ koī apnā kisī butūn meñ hai
kisi ke 'ishq ki shiddat abhi junun mein hai
ubaal khati nigahon ka dard KHun mein hai
KHayal-o-KHwab ke kuchh wahime se uDte hain
wo ek ghunne ki aawaz main ke nun mein hai
ye kis ne phul khilaya hai sang-rezon mein
baDe kamal ki miTTi KHat-e-funun mein hai
ye zindagi ki chamak aur dhaDkanen dil ki
ki 'aks Tut gaya aaina sukun mein hai
kabhi kabhi kahin pagal wo baDbaData hai
batao kaun haqiqat ke andarun mein hai
guzarna paDta hai 'ashhad' se ho ke ulfat tak
chalo kahin koi apna kisi butun mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.