kisi ke ishq mein barbaad hona
kisī ke 'ishq meñ barbād honā
hameñ aayā nahīñ farhād honā
mohabbat kā sabaq lagtā haiñ āsāñ
bahut mushkil hai lekin yaad honā
bahut pyārī hai āzādī kī chāhat
magar achchhā nahīñ āzād honā
hameñ dekho hamāre āñsuoñ meñ
'ajab sā hai hamārā shaad honā
vahāñ bhī phuuT kar ronā paḌā hai
jahāñ mumkin na thā nāshād honā
ka.ī bāteñ bhulā denā hī behtar
zarūrī to nahīñ sab yaad honā
koī tā'mīr kī sūrat to nikle
hameñ manzūr hai buniyād honā
kisi ke 'ishq mein barbaad hona
hamein aaya nahin farhad hona
mohabbat ka sabaq lagta hain aasan
bahut mushkil hai lekin yaad hona
bahut pyari hai aazadi ki chahat
magar achchha nahin aazad hona
hamein dekho hamare aansuon mein
'ajab sa hai hamara shad hona
wahan bhi phuT kar rona paDa hai
jahan mumkin na tha nashad hona
kai baaten bhula dena hi behtar
zaruri to nahin sab yaad hona
koi ta'mir ki surat to nikle
hamein manzur hai buniyaad hona
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 72)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.