Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke panw ki ragaD se aag si lagi to thi kidhar gai

Obaidurrahman Niyazi

kisi ke panw ki ragaD se aag si lagi to thi kidhar gai

Obaidurrahman Niyazi

MORE BYObaidurrahman Niyazi

    kisī ke paañv ragaḌ se aag lagī to thī kidhar ga.ī

    nazar to aa.ī thī mujhe zarā der raushnī kidhar ga.ī

    maiñ us ke lafz lafz banāvaToñ meñ gum thā jab havā chalī

    jo mere dil mez par kitāb thī khulī huī kidhar ga.ī

    bas ek moḌ kyā kaTā ki vāpsī rāsta kho gayā

    maiñ DhūñD DhūñD thak gayā yahīñ to thī mirī galī kidhar ga.ī

    maiñ bhuul aayā huuñ kahīñ ki chhīn le gayā koī ḳhabar nahīñ

    jo maiñ ne rab se paa.ī thī mire nasīb ḳhushī kidhar ga.ī

    udāsiyoñ ke dasht ne thakā diyā bujhā diyā sulā diyā

    vo merī aañkh meñ jo thī samundaroñ tāzgī kidhar ga.ī

    kisi ke panw ki ragaD se aag si lagi to thi kidhar gai

    nazar to aai thi mujhe zara si der raushni kidhar gai

    main us ke lafz lafz ki banawaTon mein gum tha jab hawa chali

    jo mere dil ki mez par kitab thi khuli hui kidhar gai

    bas ek moD kya kaTa ki wapsi ka rasta hi kho gaya

    main DhunD DhunD thak gaya yahin to thi meri gali kidhar gai

    main bhul aaya hun kahin ki chhin le gaya koi KHabar nahin

    jo main ne rab se pai thi mere nasib ki KHushi kidhar gai

    udasiyon ke dasht ne thaka diya bujha diya sula diya

    wo meri aankh mein jo thi samundaron si tazgi kidhar gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now