Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke ru-e-gham-zada pe jab kabhi nazar gai

Akhlaque Bandvi

kisi ke ru-e-gham-zada pe jab kabhi nazar gai

Akhlaque Bandvi

MORE BYAkhlaque Bandvi

    kisī ke rū-e-ġham-zada pe jab kabhī nazar ga.ī

    ye merā dil taḌap uThā merī aañkh bhar ga.ī

    hamārī umr-e-rafta kyā malūl kyā shagufta kyā

    bhalī thī burī thī jo guzar ga.ī guzar ga.ī

    vafā ke ek moḌ par gayā thā koī chhoḌ kar

    hayāt jaise bas usī maqām par Thahar ga.ī

    kamāl ḳhadd-o-ḳhāl the siyah ḳhamīda baal the

    vo tamkanat ai sāhib-e-jamāl ab kidhar ga.ī

    jo rāh-rau haiñ kam-nazar safar bhī un kyā safar

    vahī hai un had jahāñ tak un rahguzar ga.ī

    balā saḳht jaan thī zamīñ pe āsmān thī

    vahī ye qaum hai adū sarzanish se mar ga.ī

    ujaḌ gayā thā gulsitāñ ba-dast-e-mausam-e-ḳhizāñ

    so phir bahār aa ga.ī kalī kalī sañvar ga.ī

    kisi ke ru-e-gham-zada pe jab kabhi nazar gai

    ye mera dil taDap uTha ya meri aankh bhar gai

    hamari umr-e-rafta kya malul kya shagufta kya

    bhali thi ya buri thi jo guzar gai guzar gai

    wafa ke ek moD par gaya tha koi chhoD kar

    hayat jaise bas usi maqam par Thahar gai

    kamal KHadd-o-KHal the siyah KHamida baal the

    wo tamkanat ai sahib-e-jamal ab kidhar gai

    jo rah-rau hain kam-nazar safar bhi un ka kya safar

    wahi hai un ki had jahan tak un ki rahguzar gai

    bala ki saKHt jaan thi zamin pe aasman thi

    wahi ye qaum hai adu ki sarzanish se mar gai

    ujaD gaya tha gulsitan ba-dast-e-mausam-e-KHizan

    so phir bahaar aa gai kali kali sanwar gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now