Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke sath dene ka koi imkan nahin hota

Vazahat Nseem

kisi ke sath dene ka koi imkan nahin hota

Vazahat Nseem

MORE BYVazahat Nseem

    kisī ke saath dene koī imkāñ nahīñ hotā

    vasī-ul-qalb honā is qadar āsāñ nahīñ hotā

    bichhaḌte vaqt ik aañsū pas-e-mizhgāñ nahīñ hotā

    magar ye hausla is dard darmāñ nahīñ hotā

    judā.ī ta.assur mujh pe kuchh hai aap par kuchh hai

    asar har baat har shaḳhs par yaksāñ nahīñ hotā

    mirā dil apne ehsās shiddat gañvā baiThā

    tumhārī baat afsos ab chandāñ nahīñ hotā

    tazād apnī tabī.at mizāj us mohabbat

    har andesha ba-vaj.h-e-gardish-e-daurāñ nahīñ hotā

    samundar taheñ aur āsmāñ sab hadeñ chhū leñ

    magar insāñ ko apnī zaat irfāñ nahīñ hotā

    'nasīm' apne liye tum ne duā bhī tark kar Daalī

    to kyā ab ḳhud se milne tumheñ armāñ nahīñ hotā

    kisi ke sath dene ka koi imkan nahin hota

    wasi-ul-qalb hona is qadar aasan nahin hota

    bichhaDte waqt ek aansu pas-e-mizhgan nahin hota

    magar ye hausla is dard ka darman nahin hota

    judai ka tassur mujh pe kuchh hai aap par kuchh hai

    asar har baat ka har shaKHs par yaksan nahin hota

    mera dil apne hi ehsas ki shiddat ganwa baiTha

    tumhaari baat ka afsos ab chandan nahin hota

    tazad apni tabiat ka mizaj us ki mohabbat ka

    har andesha ba-wajh-e-gardish-e-dauran nahin hota

    samundar ki tahen aur aasman ki sab haden chhu len

    magar insan ko apni zat ka irfan nahin hota

    'nasim' apne liye tum ne dua bhi tark kar Dali

    to kya ab KHud se milne ka tumhein arman nahin hota

    Source:

    Khwab Dareeche (Pg. 36)

    • Author: Vazahat Nseem
      • Publisher: Afsar Publication, Karachi
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now