Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi KHamoshi ka zahr jab ek mukalme ki tarah se chup tha

Najmus Saqib

kisi KHamoshi ka zahr jab ek mukalme ki tarah se chup tha

Najmus Saqib

MORE BYNajmus Saqib

    kisī ḳhamoshī zahr jab ik mukālme tarah se chup thā

    ye vāqi.a hai ki shahr-e-qātil bujhe diye tarah se chup thā

    sahar ke āsār jab numāyāñ hue to bīnā.ī chhin chukī thī

    qubūliyat vo ek lamha mujassame tarah se chup thā

    kisī ta.alluq ke TūTne azaab donoñ ke dil par utrā

    maiñ aks ban ke Thahar gayā thā vo ā.īne tarah se chup thā

    paḌāv Daale kisī ne aa ke hazār kosoñ dūriyoñ meñ

    hamārā dil ki kisī parinda ke ghoñsle tarah se chup thā

    kahīñ se us ko bhī merī chāhat kuchh dalīleñ milī thiiñ shāyad

    vo ab ke aayā to guzrī shāmoñ ke ik samay tarah se chup thā

    kisi KHamoshi ka zahr jab ek mukalme ki tarah se chup tha

    ye waqia hai ki shahr-e-qatil bujhe diye ki tarah se chup tha

    sahar ke aasar jab numayan hue to binai chhin chuki thi

    qubuliyat ka wo ek lamha mujassame ki tarah se chup tha

    kisi talluq ke TuTne ka azab donon ke dil par utra

    main aks ban ke Thahar gaya tha wo aaine ki tarah se chup tha

    paDaw Dale kisi ne aa ke hazar koson ki duriyon mein

    hamara dil ki kisi parinda ke ghonsle ki tarah se chup tha

    kahin se us ko bhi meri chahat ki kuchh dalilen mili thin shayad

    wo ab ke aaya to guzri shamon ke ek samay ki tarah se chup tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kisi KHamoshi ka zahr jab ek mukalme ki tarah se chup tha Nomaan Shauque

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now