Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi KHayal ki surat mein ab guman se nikal

Azmul Hasnain Azmi

kisi KHayal ki surat mein ab guman se nikal

Azmul Hasnain Azmi

MORE BYAzmul Hasnain Azmi

    kisī ḳhayāl sūrat meñ ab gumāñ se nikal

    suḳhan tiir hai to hoñT kamāñ se nikal

    kabhī to mujh ko mire aks tak rasā.ī de

    ai aa.ine kisī roz darmiyāñ se nikal

    chhupe hue koī manzar mirī nigāh meñ aa

    ai koī an-kahe misre mirī zabāñ se nikal

    tire sivā bhī bahut log muntazir haiñ mire

    so apnī choT lagā aur dāstāñ se nikal

    mire nasīb ke taare kahīñ fazāoñ meñ mil

    maiñ chal paḌā huuñ zamīñ se āsmāñ se nikal

    kisi KHayal ki surat mein ab guman se nikal

    suKHan ka tir hai to honT ki kaman se nikal

    kabhi to mujh ko mere aks tak rasai de

    ai aaine tu kisi roz darmiyan se nikal

    chhupe hue koi manzar meri nigah mein aa

    ai koi an-kahe misre meri zaban se nikal

    tere siwa bhi bahut log muntazir hain mere

    so apni choT laga aur dastan se nikal

    mere nasib ke tare kahin fazaon mein mil

    main chal paDa hun zamin se tu aasman se nikal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now