Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ki aankh se sapne chura kar kuchh nahin milta

Wasi Shah

kisi ki aankh se sapne chura kar kuchh nahin milta

Wasi Shah

MORE BYWasi Shah

    kisī aañkh se sapne churā kar kuchh nahīñ miltā

    muñDeroñ se charāġhoñ ko bujhā kar kuchh nahīñ miltā

    hamārī soch parvāz ko roke nahīñ koī

    na.e aflāk pe pahre biThā kar kuchh nahīñ miltā

    koī ik aadh sapnā ho to phir achchhā bhī lagtā hai

    hazāroñ ḳhvāb āñkhoñ meñ sajā kar kuchh nahīñ miltā

    sukūñ un ko nahīñ miltā kabhī pardes kar bhī

    jinheñ apne vatan se dil lagā kar kuchh nahiñ miltā

    use kahnā ki palkoñ par na Tāñke ḳhvāb jhālar

    samundar ke kināre ghar banā kar kuchh nahīñ miltā

    ye achchhā hai ki aapas ke bharam TūTne paa.eñ

    kabhī bhī dostoñ ko aazmā kar kuchh nahīñ miltā

    na jaane kaun se jazbe yuuñ taskīn kartā huuñ

    ba-zāhir to tumhāre ḳhat jalā kar kuchh nahīñ miltā

    faqat tum se kartā huuñ maiñ saarī raaz bāteñ

    har ik ko dāstān-e-dil sunā kar kuchh nahīñ miltā

    amal sūkhtī rag meñ zarā ḳhuun shāmil kar

    mire hamdam faqat bāteñ banā kar kuchh nahīñ miltā

    ise meñ pyaar kartā huuñ to mujh ko chain aatā hai

    vo kahtā hai use mujh ko satā kar kuchh nahīñ miltā

    mujhe aksar sitāroñ se yahī āvāz aatī hai

    kisī ke hijr meñ nīñdeñ gañvā kar kuchh nahīñ miltā

    jigar ho jā.egā chhalnī ye āñkheñ ḳhuun ro.eñgī

    'vasī' be-faiz logoñ se nibhā kar kuchh nahīñ miltā

    kisi ki aankh se sapne chura kar kuchh nahin milta

    munDeron se charaghon ko bujha kar kuchh nahin milta

    hamari soch ki parwaz ko roke nahin koi

    nae aflak pe pahre biTha kar kuchh nahin milta

    koi ek aadh sapna ho to phir achchha bhi lagta hai

    hazaron KHwab aankhon mein saja kar kuchh nahin milta

    sukun un ko nahin milta kabhi pardes ja kar bhi

    jinhen apne watan se dil laga kar kuchh nahin milta

    use kahna ki palkon par na Tanke KHwab ki jhaalar

    samundar ke kinare ghar bana kar kuchh nahin milta

    ye achchha hai ki aapas ke bharam na TuTne paen

    kabhi bhi doston ko aazma kar kuchh nahin milta

    na jaane kaun se jazbe ki yun taskin karta hun

    ba-zahir to tumhaare KHat jala kar kuchh nahin milta

    faqat tum se hi karta hun main sari raaz ki baaten

    har ek ko dastan-e-dil suna kar kuchh nahin milta

    amal ki sukhti rag mein zara sa KHun shamil kar

    mere hamdam faqat baaten bana kar kuchh nahin milta

    ise mein pyar karta hun to mujh ko chain aata hai

    wo kahta hai use mujh ko sata kar kuchh nahin milta

    mujhe aksar sitaron se yahi aawaz aati hai

    kisi ke hijr mein ninden ganwa kar kuchh nahin milta

    jigar ho jaega chhalni ye aankhen KHun roengi

    'wasi' be-faiz logon se nibha kar kuchh nahin milta

    RECITATIONS

    Wasi Shah

    Wasi Shah,

    Wasi Shah

    Kisi ki ankh se sapne chura kar kuch nahin milta Wasi Shah

    Source:

    Aankhen Bheeg Jati Hain (Pg. 74)

    • Author: Wasi Shah
      • Edition: 1997
      • Publisher: Al-Razzaq Publications, Lahore
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now