kisi ki muntazir ab dil ki rah-guzar nahin
kisī kī muntazir ab dil kī rah-guzār nahīñ
magar mujhe to kisī tarah bhī qarār nahīñ
gulāb kaise khile dasht-e-ārzū meñ koī
ye sar-zamīn abhī vāqif-e-bahār nahīñ
simaT gayā thā mire bāzuoñ meñ raat ga.e
ye āsmān mirī tarah be-kanār nahīñ
tirī nazar ne khilā.e mirī nazar meñ gulāb
ḳhud apne aap pe mausam ko iḳhtiyār nahīñ
lahūluhān mirī uñgliyāñ ye kahtī thiiñ
kisī chaTān meñ ab koī ābshār nahīñ
kisi ki muntazir ab dil ki rah-guzar nahin
magar mujhe to kisi tarah bhi qarar nahin
gulab kaise khile dasht-e-arzu mein koi
ye sar-zamin abhi waqif-e-bahaar nahin
simaT gaya tha mere bazuon mein raat gae
ye aasman meri tarah be-kanar nahin
teri nazar ne khilae meri nazar mein gulab
KHud apne aap pe mausam ko iKHtiyar nahin
lahuluhan meri ungliyan ye kahti thin
kisi chaTan mein ab koi aabshaar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.